Card Level Parts Identification
Mobile Phone Card Level Parts Introduction Works in Hindi | PCB Par Card Level Parts Identification Works Faults Hindi Me
Mobile Phone Ke Card Level Parts: Pahchan or Karya
Agar aap mobile phone repairing course in hindi me learning krte hai to aapko sabse pahle mobile phone ke parts ke baren me janana bahut important hai. Mobile phone repairing online in hindi me sikhna bahut hi aasan hai. agar mobile phone repairing me career banana chahate hai to yah website aapke liye bahut hi important hai. Kya aap jante hai mobile phone ki PCB (Printed Circuit Board) per Hundreds se bhi adhik parts solder huye hote hai. Mobile phone ki hardware faults ko solve krne ke liye aapko mobile phone ke all parts ke baren me acchi tarah samjana hoga jaise parts ki PCB per identification (Pehchan), works, faults or parts ko Multimeter se check krna etc.
Jab aap sikana chahate hai ‘how to repair any mobile phone’, yani ki Mobile phone kaise repair kare. Iske liye aapko mobile phone ke parts ki identify aana jaroori hota hai. Kyonki mobile phone ke pcb board per kahin types ke parts solder huye hote hai, hum unhe 3 types me divide kar skte hai – 1. Card level parts, 2. Big parts or 3. Small parts.
Mobile phone repairing course me aaj aapko sbse pahle Mobile phone ke card level parts ki identification or works ke bare me batana chahunga. Jisse ki mobile phone ke small parts or big parts ki pcb per pahchan krna bhi aap aasni se sikhenge.
Mobile Phone Ke Card Level Parts : PCB per identification and Works
PCB (Printed Circuit Board) :
Kisi bhi Mobile phone ke pcb board per hundred se adhik parts lage hote hai. New mobile repairing learning krne walo ke liye yah most important ho jata hai ki wo sbse pahle mobile phone parts ko acche se jaane pahchane. Mobile phone ke pcb board, logic board, motherboard per 3 types ke parts solder huye hote hai: Card level parts, Small parts and Big parts. Mobile phone pcb a card level part hota hai. Mobile phone pcb board green color ka hota hai or yah copper se made hota hai. Hum pcb per parts connection nahi dekh skte kyonki pcb kahin copper layers se bani hoti hai. Parts ke connection check krne ke liye ek electronic component ko use me lete hai jise ‘Multimeter’ kahte hai. Mai next lessons me mobile repairing me all mobile parts ko multimeter se check krna sikhayunga. Lekin Abhi hum card level parts ke identification or work ke bare me jante hai.
Front Fascia :
Mobile phone repair krne se pahle hum agar mobile phone ke parts acchi tarah se samajh late hai to yah aapke liye bahut hi achhi khabar ho skti hai. Hamhari saflata or aapki saflata yah janane mai ki hum sbse pahle mobile parts ke bare me acche se jaane. Mobile phone repairing hindi me help se related websites bahut si hai. Front Fascia yani mobile phone ka front cover jo mobile phone ka front part hota hai. Kisi bhi mobile phone ka front fascia uske brand or model ke anusar different sizes or shapes ka ho skta hai.
Back Fascia :
Back fascia mobile phone ka back cover hota hai. Back fascia ki shape or size different mobile phone brand or model per defend krti hai. kisi bhi mobile phone ke back fascia me battery cover bhi shamil hota hai. Mobile cell phone repairing krne ke liye aapko mobile parts ke bare me acche se janana honga.
Internal Fascia (Haddi) :
Mobile phone ki ‘HADDi’ ko internal fascia kahte hai. Mobile phone front or back fascia ko aap log mobile phone ki body bhi kahte hai. Keypad button purane hone per ya back cover broken hone per hum front or back fascia (Mobile Phone Bady) ko change krte hai. Mobile phone ki haddi jis per mobile phone ka pcb board set huya hota hai.
Ringer Loudspeaker :
Mobile repairing course hindi me sikhne wale kahin new students ringer, speaker, or mic ke karyo ke bare me bahut confused rahate hai. Multimeter se ringer, speaker or mic check krne me bhi confuse hote hai. But isiliye maine pahle aapko mobile phone ke parts ki identify, works, faults ke bare janane ko kaha. Bcoz agar aap parts ko acche se nahi samjhte hai to aap mobile phone ki any hardware faults ko acche se solve nahi kr payange.
Ab aate hai asli mudde per ki ringer, speaker or mic ki pehchan, karya se related confuse kaise door kare. Ringer sound or songs ko high or loud volume per sunata hai.
Speaker Earpiece :
Speaker mobile phone me call ke samay aawaz sunane ke karya kata hai lekin jab call headphone ya loudspeaker per na ki ho. Speaker ki sound ko hum ear ke pass se sun skte hai. Jabki ringer ki sound ko bahut door tk suna ja skta hai.
Microphone :
Ringer or Speaker identify or work se related aapka confuse clear ho gaya hai to ab hum mic ki doubt door krte hai. Microphone ko short me ‘MIC’ kahte hai. MIC ek sound input device hai. Yah call ke samay hamhari sound (aawaj) ko transmit krke speaker ko bhej deta hai. Usi sound ko speaker sunata hai. Mic mobile phone me sound or video ko record krne ka karya krte hai or Speaker us sound ko humko sunata hai. Mobile phone ka headphone, speaker or mic dono ka karya kr skta hai. Short me kahe to Mic hamhari aawaz ko aage bhejane ka karya krta hai.
Vibrator Motor :
Mobile phone ki setting me vibration mode ‘ON’ kar dene ke baad, call or sms aane per mobile phone me vibration yani ‘kampann’ hone lagti hai. Mobile phone me vibration se related all hardware faults ko solve krne ke bare me hum next lessons me janange. Mobile or Smartphone repairing course me parts ki pehchan, works, faults or check mobile parts to Digital Mulimeter tk same hote hai.
LED Light Emitting Diode :
Mobile phone ka ek card level part jo Diode types ka hota hai or diode mobile phone ka small part hota hai. LED light mobile phone ke keypad buttons or display screen me light glow (jalaane) ka karya krti hai. LED light: white, green, yellow or blue etc. clours types ki hoti hai. Jab mobile phone ki screen me light nahi jalti hai lekin display screen acche se karya kar rahi hai, to mobile phone ki led light ko current pahunchana band ho jata hai. Iski puri jankari hum next lessons me denge.
Keypad Carbon :
Keypad carbon mobile phone keypad buttons or pcb ke bich me laga hota hai. Yah keypad ko mobile phone pcb se connect krne ka karya krta hai. Mobile phone pcb board per keypad button Colum or row me bane hote hai. Keypad buttons ko pcb buttons se connect keypad carbon krta hai. Keypad carbon me silver colour ke Gol circle lage hote hai, jab hum key button press krte hai to yah circle pcb se connect hota hai or display screen me key type hoti hai.
Touch Screen (Personal Digital Assistant) :
PDA Touch Screen mobile phone ki display screen hoti hai jiski help se hum screen touch mobile phone ko operate krte hai. Isme keypad touch screen me include hota hai. Mobile phone ki screen touch different mobile phone brand or model per defend krti hai. Ek bar jab aap mobile repairing course sikh lete hai to aap Latest smartphone mobile phone ko repair kr skte hai. But iske liye abhi aapko bahut hard work krna hoga.
Internal Antenna :
Internal Antenna mobile phone pcb board per antenna point se connect hota hai or antenna direct pcb per solder huya nahi hota hai. Antenna mobile phone ki haddi me set hoker pcb antenna point per connect hokar karya karta hai. But latest technology aane se ab mobile phone me antenna direct pcb per solder huaa hota hai. Antenna mobile phone me ‘network frequency’ ko capture krke network signal lata hai.
ON OFF Switch :
On-Off Switch mobile phone ki pcb per solder huaa hota hai, Iske center me ‘M’ word dikhai deta hai. Smartphone or Screen touch mobile phones me adhiktr laga hota hai. Keypad mobile phones me On-Off ka button keyboard me laga hoya hai. On-Off Switch mobile phone ko Switch On or Off krne ka karya krta hai. Mobile phone repair course in hindi me mobile phone ki auto On-Off hardware faults solution ke bare me hum next lessons me janange.
Next Lesson me Mobile phone ke socket/connector wale parts ki PCB Board per identify or work ke bare me janange. Tb tk aap is lesson ko acche se jane or revision krte rahe. Mobile phone repairing me parts ki pcb per pahchan krna sikhna continue rakhe, iske liye aap hamhara free email subscription le skte hai. Jisse hamhari next lessons direct aapko aapke mail inbox me receive hogi.
Source: Mobilerepairingtips.com
Source: Mobilerepairingtips.com
स्मार्टफोन रिपेयरिंग के सभी तकनीकी कौशल सीखें, एक ही कोर्स में