Speaker (Earpiece) Ko Multimeter Se Kaise Check Kare
Mobile phone repairing course Hindi me aaj ke lesson me aap sikhenge, mobile phone ke speaker ki faults or problems ko repair, fix, solve, solution or sudhar krte time fault ko multimeter se kaise finding or check kare. Mobile repairing me ear speaker ko digital multimeter se testing krke yah gyaat kiya jata hai ki yah work kar raha hai ya phir faulty (Khraab) ho chukka hai. yah mobile phone ka card level part hota hai.  
Speaker mobile phone me incoming or outgoing calls ke dauran sound sunane ka karya krta hai. Iski sound ko ears ke paas me rakhkar hi suna ja skta hai. Agar yah faulty ho jata hai to aane or jane wali calls ke dauran samne wale ki sound humko sunai nahi dengi. Earpiece ko multimeter se check krke fault finding krne ke lesson ko aasani se samajhne ke liye pahle aap ye lessons jarur read kare

In lessons ko read krne ke bad aap easily speaker ko multimeter se check krna sikh skte ho. To chaliye shuru krte hai kaise speaker ko multimeter se check kare. practically sikhne ke liye aapke paas ek mobile phone ka speaker or ek multimeter jarur hona chahiye. Multimeter ko filpkart se online buy kar skte hai.

Multimeter Se Speaker Check Krne Ke Simple Steps - 
1. Multimeter ke Selector Switch ko ghumate huye Beep Mode (Buzzer) par set kare. Beep mode ki pahchan krna bahut hi easy haimultimeter par ek hi mode beep mode par dono probes ko aapse me touch krne par beep ki sound aati hai

2. Mobile phone me speaker front fascia (mobile ki front body) me set huaa hota hai. cell phone ko carefully open or disassemble krne ke bad speaker ke dono legs par multimeter ke Red or Black Probes ko rakhe.

how to check testing speaker using a multimeter in mobile phone repair
3. Ab agar Multimeter ke LCD screen me 25 se 35 Ohm ki value dikhane ke sath beep ki sound aati hai to speaker thik (OK) hai. Yadi itni value beep ki sound ke sath nahi dikhata hai to earpiece kharab hai.

Ab aap mobile phone repair, iphone repair, smartphone repairing me aasani se earpiece ki multimeter se testing krke faults finding kar skte ho. Is course ko sikhana continue rakhe or agar aapko sach me lagta hai ki aap kuch sikh rahe hai to please is course ko social media sites – facebook, whatsapp, google plus, twitter par jarur share kare. Aapke ek share se koi mobile repairing krne ka hoonar pa skta hai.

स्मार्टफोन रिपेयरिंग के सभी तकनीकी कौशल सीखें, एक ही कोर्स में

Advance mobile repairing course EBook

हाउ टु पे एंड डाउनलोड - Click here