Non Electrolytic Capacitor Ko Digital Multimeter Se Kaise Check Kare
Mobile cell phone, Android Smartphone, iPhone smartphone repair or Windows Smartphone repairing me PCB circuit board par small parts thik (OK) hai ya Fault ho gya hai yah check krne ke liye multimeter ko use me liya jata hai. Aaj ke lesson me aap sikhenge ki phone pcb par is type ke capacitor ki fault ko mutlimeter ki help se kaise khoja jata hai. how to check capacitor using a digital mutlimeter
Multimeter se capacitor ko check krna bahut aasan hai. PCB par connections wiring se nahi jude hote hai. isliye hum yah nahi jaan pate ki konsa parts kisse juda huaa hai. But digital multimeter ko use krke hum pcb par kisi bhi parts ke connection ko check kar skte hai. how to use digital multimeter to check capacitor. to chaliye shuru krte hai

Practically Sikhne Ke Liye Jaruri Tools:
1. Mobile Phone PCB Circuit Board -
Koi bhi purane ya khrab pade mobile phone ko open or disassemble krke pcb nikal lijiye.

2. Digital Multimeter
Apne najdik ke electronics market se ek multimeter buy kar lijiye. aap flipkart par online order krke apne ghar par mangawa skte hai.

Multimeter ko use krte huye non electrolytic capacitor ko check krne se pahle yah lesson jarur sikhe
Multimeter Se Check Krna
Non electrolytic capacitor ko multimeter se check krna Sikhe.
1. Multimeter ke Selector Rotatory Switch ko ghumate huye Beep Mode par set kijiye. Beep mode par Speaker or Diode ke symbols print huye hote hai. Beep mode par selector switch set huaa hai ya nahi yah check krne ke liye Black or Red Probes ki nib ko aapse me touch krke sune, beep ki sound aati hai to multimeter beep mode par set ho gya hai.

2. Multimeter ki Red probe positive (+) or Black probe negative (-) hoti hai. Non electrolytic capacitor ko check krne ke Red Probe or Black Probe ko dono side ki White Stripe par rakhe. Dono side wale small parts ki stripe (धारी) par probes is type se rakhe - 
how to use digital multimeter to check small parts non electrolytic capacitor mobile phone repairing
Dono side ki white dhari par probes rakhne ke bad agar beep ki sound aaye to yah capacitor faulty hai or beep ki sound nahi aane par OK hai. Aap is type se ise yaad rakh skte hai -
  • Beep Sound Aane Par – Faulty.
  • Beep Sound Nahi Aane Par – OK.
Ab aap pcb par is type ke capacitor ki identification multimeter ko use krte huye bhi kar skte hai. mobile phone repair course online Hindi me sikhte rahiye. Please aap is course ko unemployed students or apne friends ke sath jarur share kare.
Share krne se knowledge badhta hai. Jo ek mobile repair technician ke liye bahut hi jaruri hai

स्मार्टफोन रिपेयरिंग के सभी तकनीकी कौशल सीखें, एक ही कोर्स में

Advance mobile repairing course EBook

हाउ टु पे एंड डाउनलोड - Click here