Digital Multimeter Tutorials
Android Smartphone Repairing Me Microphone (MIC) Ko Multimeter Se Check Karna Hindi Me Sikhe
Mircophone (MIC) Ko Multimeter Se Kaise Check Kare
Aaj ke mobile repairing course lesson me aap sikhenge, mobile phone ke MIC ki faults or problems ko repair, fix, solve, solution or sudhar krte time fault ko multimeter se kaise finding or check kare. Mobile repairing me mic ko digital multimeter se testing krke yah gyaat kiya jata hai ki yah work kar raha hai ya phir faulty (Khraab) ho chukka hai. yah mobile phone ka card level part hota hai.
Mic mobile phone me calls ke dauran humhari sound ko aage bhejata hai. MIC not working, Agar yah faulty ho jata hai to aane or jane wali calls ke dauran samne wale ki humhari sound sunai nahi dengi kyonki sound record nahi hone se aage nahi ja pati hai. MIC ko multimeter se check krke fault finding krne ke lesson ko aasani se samajhne ke liye pahle aap ye lessons jarur read kare –
In lessons ko read krne ke bad aap easily mic ko multimeter se check krna sikh skte ho. To chaliye shuru krte hai kaise mic ko multimeter se check kare. practically sikhne ke liye aapke paas ek mobile phone ka mic or ek multimeter jarur hona chahiye. Multimeter ko filpkart se online buy kar skte hai.
How to Check MIC Using a Digital Multimeter -
1. Multimeter ke Selector Switch ko ghumate huye Beep Mode (Buzzer) par set kare. Beep mode ki pahchan krna bahut hi easy hai – multimeter par ek hi mode beep mode par dono probes ko aapse me touch krne par beep ki sound aati hai.
2. Mobile cell phone ko carefully open or disassemble krne ke bad MIC ke dono legs par multimeter ke Red or Black Probes ko rakhe. Agar PCB circuit board par mic wires ke dwara connect huaa hai to wires par probes rakhkar check kare.
3. Ab agar Multimeter ke LCD screen me 600 se 1800 Ohm ki value dikhane par mic thik (OK) hai. Yadi itni value nahi dikhata hai to mic kharab hai.
Ab aap mobile phone repair, iphone repair, smartphone repairing me aasani se mic ki multimeter se testing krke faults finding kar skte ho. Is course ko sikhana continue rakhe or agar aapko sach me lagta hai ki aap kuch sikh rahe hai to please is course ko social media sites – facebook, whatsapp, google plus, twitter par jarur share kare. Aapke ek share se koi mobile repairing krne ka hoonar pa skta hai.
स्मार्टफोन रिपेयरिंग के सभी तकनीकी कौशल सीखें, एक ही कोर्स में