Card & Chip Level Repairing
How to Use SMD Rework Station in Mobile Phone Repair in Hindi
Mobile Repairing Me SMD Rework Station Ka Use Kaise Kare
how to use SMD Rework Station in mobile phone repair. Mobile phone hardware repairing me kisi bhi faults or problems ko repair, fix, solve or solution karne ke liye Hot blower gun ka use kiya jata hai. Isse PCB par all IC, Small Parts, Big Parts or Card Level Parts ko remove or solder kiya jata hai. Aaj ke lesson me aap sikhenge ki mobile cell phone repair me rework station ka upyog kaise karte hai. Iska practically use karna sikhene ke liye aapke paas ye mobile repairing tools hone chahiye -
- SMD Rework Station
- Solder Paste/Flux
- Tweezers
- PCB Stand
What is a SMD Rework Station ?
Yah ek aisa equipment hai jo hot air or temperature se mobile phone ki pcb circuit board par lage kisi bhi parts ka solder wire pighlakar use pcb se hatha sakta hai or new part ko solder kar sakta hai. Isme two rotatory button hote hai ek air ko control karne ke liye or dusra temperature ko control karta hai. Rework station ke handle me nozzle lagi hoti hai jisse hot air chalti hai. is garm hawa se kisi bhi part ka solder wire pighal jata hai or part pcb se alag ho jata hai.
SMD Rework Station Ka Use Karna Sikhe –
1. Sabse pahle Rework Station ke Power Switch Button ko ON kare.
2. Ab Temperature or Hot Air ko Set kare. Parts ki acchi soldering or desoldering ke liye dono ka aapse balance banaye rakhna jaruri hai. Na air ko adhik rakhe or na hi temperature ko. Aap new hai to dono ko low level par set karke practice kare.
3. Ab ek hath me rework station ka handle pakhde or dusre hath me tweezers le.
3. Ab ek hath me rework station ka handle pakhde or dusre hath me tweezers le.
4. Jis part ko pcb se remove or solder karna hai us par solder paste lagaye. Or handle ko gol gol ghamate rahe.
5. Jab parts pcb se alag ho jaye to tweezers se turant hatha de.
6. Use na hone par power switch ko band kar dena chahiye.
Notes: Rework Station ko use karte time rakhi jaane wali jaruri savdhaniya –
1. Temperature or Hot air ko balance me hi adjust karke set karna chahiye, dono me kisi ko bhi kam ya adhik rakhne par part damage ho sakte hai. Shuru me aap dono ko low level par hi set karke practice kare. Jab aapko experience ho jata hai to 3-4 par set kakre aap use kar sakte hai.
2. PCB par lage parts se rework station ke handle ke bich me thora gap rakhe or handle ko parts par ek hi jagah rokkar hot air na de, handle ko gol gol ghumate rahe.
3. Tweezers se only part ko bilkul halka sa pakhde rakhna hai, part ko jabardasti na khinche. Agar aap part ko pcb se alag hone se pahle hi khinchate hai to pcb se copper connection hath sakti hai. Uske bad part ka pcb par bana place damage ho jata hai.
4. Jis part ko solder ya remove karna hai us part hot air de, pas wale part par hot air na de. PCB par hot air thore door se deni chaiye. Najdik se air dene par pas wale part damage ho jate hai.
Ab aap mobile phone hardware faults repair me smd rework station ka aasani se use karke fault solve kar sakte hai. Full mobile repairing course in hindi me sikhne ke liye bane rahiye MobiTechCareer.Com ke sath. New lesson apne E-mail inbox me pane ke liye free email subscription jarur le. Yah ek free service hai jisse aapko humhare website par publish hone wale new lesson aapke E-mail par free bheje jaate hai.
स्मार्टफोन रिपेयरिंग के सभी तकनीकी कौशल सीखें, एक ही कोर्स में