PCB Holder (Stand) Me PCB Board Kaise Set Kare
Mobile repairing course in Hindi me aaj ke lesson me aap sikhenge – how to set/hold pcb circuit board in pcb holder in Hindi. Mobile phone ki hardware faults ko solve karne ke liye PCB ko pcb stand me set kiya jata hai. Jisse pcb par kisi bhi part ko solder or remove karte time pcb ki pakad ko bahut hi strong rakhta hai. Mobile phone repair me pcb ko pcb stand me kaise lagaaye. Practically sikhne ke liye aapke paas ke ek pcb circuit board or PCB Stand hona jaruri hai. PCB Stand me pcb set karke PCB par kisi bhi part par upar ya niche se aasani se Heat de sakte hai.  

Mobile Repairing Me PCB Holder Ka Upyog Kyon Karte Hai ?
Mobile phone ki pcb ko ekdum se tight hold karke rakhne ke liye isko mobile phone repair me use karte hai. Isme PCB ke size or shape ke anusar aasni adjust kiya ja sakta hai. SMD Rework Station se pcb par heat dete time pcb ek place par tika rahna bahut jaruri hota hai.

Mobile Repair Me PCB Board Ko PCB Stand Me Kaise Set Kare
1. Mobile phone ki pcb circuit board lejiye.
2. Ab PCB Stand ko kisi samtal palce par rakhe


3. PCB ko PCB Stand ke screw ko open karte huye set or adjust karke screw kas de.
4. Ab aap pcb ke bina heele dule koi bhi part solder kar sakte hai

Mobile Repairing course ko step by step in Hindi me sikhne ke liye aap humhari Advance Mobile Repairing Course PDF Book (e-Book) in Hindi ko apne kisi bhi pdf supported mobile phone par download karke mobile phone repair, android smartphone repairing, iphone repair or iphone screen repair karna practically sikh sakte hai. agar aap online free full mobile phone repairing tutorial course sikhna chahate hai to bane rahiye humhare sath. New lesson ki suchna apne mail par pane ke liye free email subscription jarur leejiyega.