Digital MultiMeter Kya Hai: Kyon Mobile Repairing Me Multimeter Use Kare
Mobile phone repairing course in Hindi me aaj ka lesson aapke le liye bahut hi important hai. is lesson me aap sikhenge ki multimeter kya hai, yah kaise work krta hai, how to check mobile phone parts using with multimeter, mobile repairing me multimeter ka use kaise kare. Mobile phone ki pcb par small parts ki multimeter dwara check krke identify krna or bhi aasan hai. PCB par ek jaise dikhne wale kai small parts ke bich mulimeter se check krke unke bich ke difference ko easily jana ja skta hai. PCB par coil, fuse, resistance, capacitor jaise kai small parts ka black colour same hota hai, aise parts shape or size me bhi different hote hai. But new mobile repair technician in small electronics components ki identification krne me kabhi - kabhi confuse ho jate hai. But multimeter se check krne ke bad aap aasni se kisi bhi small parts ko pahchan krte time bilkul bhi confuse nahi honge. to chaliye shuru krte hai multimeter kya hai or yah kaise karya krta hai

Multimeter kya hai, mobile phone repairing me kaise or kyon use kare
Buy Digital Multimeter
What is Multimeter ? Why use multimeter in mobile repairing?
digital multimeter ek electronic equipment hota hai. Jiska use electronic components ko check krne me kiya jata hai. yah mobile phone repairing tools me se ek hai. Jiske dwara cell phone ki pcb par parts, track ways, shorting or voltage ko check kiya jata hai. PCB par lage parts ke aapsi connections ko ham apni aankho se nahi dekh pate hai. in parts ke connections ko check krne ke liye ek equipment ko use me lete hai jise multimeter kahte hai. Multimeter se mobile phone, laptop, computer or all others electronic items ke parts ko check liya jata hai. Analogue Meter se multimeter ko aasni se use kiya or samjha ja skta hai. Vaise to multimeter ka use aaj electronic ke har field me ho raha hai. Lekin hum only mobile repairing me multimeter ke use krne ke lessons sikhenge

Phone repair me digital multimeter ka upyog kaise kiya jata hai, iski jankari hum next lesson me sikhenge. Mobile phone hardware repairing me multimeter ka bahut adhik use kiya jata hai. Ringer, speaker, mic, vibrator, sim card, memory card, display screen, charging etc. ke jumper track ways ko multimeter se check kiya jata hai. multimeeter dwara two parts ke bich kiye gye jumper ways ko check kiya jata hai. Mobile repairing course online free Hindi ke next kuch lessons me aap mobile phone repair me multimeter ke use krne ki complete jankari ko easily sikhenge.

स्मार्टफोन रिपेयरिंग के सभी तकनीकी कौशल सीखें, एक ही कोर्स में

Advance mobile repairing course EBook

हाउ टु पे एंड डाउनलोड - Click here