PCB Introducation & Identification
Network Resistance Identification in Hindi
Network Resistance: Identificion, Works or Faults in Hindi
Mobile repairing course in Hindi me online sikhna ab or bhi huaa aasan. Mobile repair course ke aaj ke lesson me aap sikhenge ki PCB per Network Resistance ki pahchan kaise kare, iske karya or khrabiya kya hai. Mobile PCB per network capacitor ki tarah network resistance bhi lage hote hai. Resistance mobile phone PCB board per sabse smallest part hai. Network Resistance chip resistance se 2 ya 2 se adhik guna bade hote hai. To chaliye shuru krte hai.
Identification:
Mobile phone motherboard per yah kisi bhi section me laga mil jata hai. Yah gahre black colour ka hota hai or 2 ya 2 se adhik chip resistance se bana hota hai. Iske dona taraf ki side me white dhari bani hoti hai.
Works:
Yah Adhiktar kisi IC ke aas-pas lage hote hai. Yah current voltage ko decrease krne ke karya krte hai.Faults:
Iske faulty ho jane per isse connected part ko current voltage nahi milega.Practice:
Mobile phone ki PCB le or Printed Circuit Board per Chip resistance jaise hi 2× bade resistance ko khojiye.
Kya Aap Jante Hai ?
PCB per sabse adhik small parts solder huye hote hai. PCB area ke anusar Network section me small parts adhik lagte hai or power section me big parts adhik lage hote hai. Jabki Network section ke compare me power section bahut bada hota hai. Non Electrolytic Capacitor Sbse adhik Power IC charo taraf lage hote hai.
Mobile Phone repair krne wale person ko mobile repair technician kaha jata hai. Mobile phone ko kaise sudhare ye repair kare ? Mobile repairing kaise sikhe, mobile repairing kaise kare ? Free online mobile cell phone repair course in Hindi me sikhe or mobile sudharane ke work sikkar rojgar paye. Sikhte rahiye or magar continue. Abhi aap sikh rahe mobile phone small parts Ki PCB per identification, works or faults.
स्मार्टफोन रिपेयरिंग के सभी तकनीकी कौशल सीखें, एक ही कोर्स में