Big Parts IC Identification
PFO IC Identification in Hindi
PFO IC: Identification, Works and Faults in Hindi
Learn mobile repairing course online hindi me aapko hum sabse pahle mobile phone ke parts ke bare me sikha rahe hai, mobile pcb per kaise parts lage hote hai ? Parts ki pcb per identification kaise kare ? Pcb board per konsi IC lagi hoti hai ? Kitne types ke parts pcb per lage hote hai ? Parts kya work krte hai ? Parts me konsi fault aati hai ? Part ki fault ko multimeter se kaise check krte hai ? Mobile PCB board per small, big or card level parts konse hote hai ? Mobile PCB kya hai etc. ke bare aap in lessons ko sikhne ke bad definitely jaan jayenge. Mobile parts ko multimeter se check krne ke bare me hum next lesson me sikhayenge or pcb per All IC ke bare me batayange.
Mobile phone ki hardware repairing me IC ke bare me acche se sikhna bahut jaroori hota hai. Kisi bhi part ki hardware fault ko repair 2-3 IC ko heat, reball or replace krke kiya ja skta hai. Ab aate hai hum apne lesson topic per ki mobile ke big parts or IC ki pahchan PCB per kaise kare ? PCB per IC ki karya kya hai ? Kis IC ke Faulty hone se mobile phone me kya problems aati hai etc. ke bare me janange. To chaliye shuru krte hai, PFO ic ki pcb per pahchan krna.
P.F.O. (Power Frequency Oscillator):
👉 P.F.O. Identification on Mobile Phone PCB:
PFO IC mobile phone ki PCB board per network section me lagi hoti hai. PFO antenna switch or network IC ke aas-pas laga hota hai. Iske pas ek network capacitor laga rahta hai. Jo 2 se bhi adhik non electrolytic capacitor se bana hota hai. Ise P.A. (Power Amplifier), Power Filter Oscillator or B.P.S. (Band Pass Filter) bhi kahte hai. PFO PCB board per sabse upper laga rahta hai. Yah aayat ke shape ka hota hai.👉 P.F.O. Works:
Yah Network frequency (signal) ko filter or amplify krta hai.👉 P.F.O. Faults:
PFO ke faulty hone per mobile phone ye faults aati hai –
1. Network not working
2. Network nahi aana
3. Weak network signal
4. Network Signal aana or jana
5. Battery low back up
6. Network related others faults
7. Short Mobile PCB board
8. Dead Mobile Phone
Ab aap pfo ko mobile phone pcb circuit board per easily identify kar skte hai. Mobile phone repairing course online free in Hindi ko apne workless friends ke sath share kare. Aapke ek 2 seconds ke work se kisi ki life ban skti hai.
हाउ टु डाउनलोड |