PCB Introducation & Identification
Coil (कॉइल) Identification in Hindi
Coil – Identification, Works or Faults
Mobile phone repairing course ki aaj ke lesson me aap sikh payenge – PCB per Coil ki pahchan kya hai or uske karya-kharabiya etc. ke baare me sikhenge. Mobile cell phone repair me coil ki faults aana aam hai. Coil ki Printed Circuit Board per Pahchan krna bahut hi easy hai. First, aap mobile phone ki ek PCB le.
Identification:
Yah mobile cell phone ki motherboard per kuch sections me 2 colours me mil jati hai –
1. Halka Black Colour Ke Sath Dono Side White Stripe
Coil Halka black colour me hoti hai or iske dono taraf ke side me white stripe (dhari) hoti hai. Yah shape or size me different hoti hai. Coil pcb per chhoti-badi hoti hai or kai shapes or sizes ki lagi hoti hai.
2. Blue Colour Ke Sath Dono Side White Dhari
Dusre colour me Coil blue colour ki hoti or iske dono taraf ke side me white stripe hoti hai. Is type ki colour wali coil kuch hi mobile phones ki pcb per lagi hoti hai.
Works:
Coil ke karya ye hai –
(A) Yah current ko filter krti hai.
(B) Yah current voltage ko decrease (kam) krti hai.
Faults:
Coil ke faulty hone per isse connected parts ko current or voltage filter nahi hoga.
Practice:
Ab aap apne mobile phone ki PCB per Halke black colour, dono or white dhari wali Coil ki pahchan kijiye.
Kya Aap Jante Hai ?
Mobile Phone Ki PCB Per Coil Ka Karya Hai – Current Voltage Ko Decrease Krna Jabki Boost Coil Current Ko Increase Krne Ka Karya Krti Hai.
Mobile Cell Phone Repairing Course Me Aapne Kya Sikha –
Yadi aap continue mobile re[air sikhe rahe hai to aapne abhi tak 3 small parts –
1. Non Electrolytic Capacitor
2. Electrolytic Capacitor
3. Coil
In 3 parts ki PCB per identification, works or faults ke baare me aapne sikha hai.
स्मार्टफोन रिपेयरिंग के सभी तकनीकी कौशल सीखें, एक ही कोर्स में