मोबाइल रिपेयरिंग कोर्स
Light IC - Mobile Phone Motherboard Par IC Ki Pahchan Krna Sikhe | Light IC Ke Works or Faults Hindi Me
Light IC: Identification Works Faults in Hindi
Mobile phone repairing me aaj ke lesson me aap sikhenge ki pcb par light ic ki identify kaise kare, cell phone me light ic ke karya or khrabiya kya hai. PCB par parts ki pahchan krna bahit hi aasan hai. Aap kisi bhi big parts ki pcb par aasni se identify kar skte hai.
Light IC ki bhi pcb par easily pahchan kar skte hai. MobiTechCareer ka mobile repairing course online free sikh skte hai. humhara mobile phone repair course naye sikhne wale or purane sikhe huye dono ke liye bahut hi important hai. Aap mobile phone sudharane ka karya kisi institute ya mobile repair shop par sikh rahe hai to bhi aapke ke liye sone par suhaga jaisa useful hai. PCB circuit board par light ic ko kaise pahchane ? to chaliye shuru krte hai.
Identification:
Light ic mobile phone ki pcb board par light section lagi rahti hai. yah ic SIM IC jaise hi small hoti hai or chamakdar black me hoti hai. Basically yah boost coil ke aas-paas hi lagti hai. Boost coil ki pcb par pahchan krne ka lesson sikhe. Old mobile handsets me light ic 8-10 legs wali hoti thi par aajkal latest mobile phones me yah ic ball ic hoti hai.
Works: Light ic mobile phone ke keypad or display screen me light jalaane or light section ke works ko control krti hai.
Faults: Light ic ke faulty ho jane par cell phone ke display or keypad me light nahi jalegi –
(A). Keypad led light not working.
(B). Display screen light not working.
Mobile phone repair course ko aap jitna enjoy krke sikhnge utne hi jaldi aap sikhete jayenge. Aap abhi phone pcb circuit board yani motherboard par various small, big or card level parts ki pahchan, karya or khrabiya sikh rahe hai.
स्मार्टफोन रिपेयरिंग के सभी तकनीकी कौशल सीखें, एक ही कोर्स में