PCB Introducation & Identification
Photo Diode Identification in Hindi
Photo Diode: Identificion, Works or Faults in Hindi
Mobile repairing course online in Hindi – MobiTechCareer per aaj ke lesson me aap sikhenge ki pcb circuit board per Photo Diode ki pahchan kaise kare. Iske karya or khrabiya kya hai. Mobile cell phone repair krna bahut easy hai. Agar aap pcb per lage or solder huye all small, big parts, IC or card level parts ki identify krna sikh jate hai to. Wo aap ab sikh rahe hai. Aap apne hoonar ko sahi time per use kare to aapko success hone se koi nahi rok skta hai. Mobile repairing ek hoonar hi hai, Jisse lakho kamaye ja skte hai. Ek perfect mobile repair technician ki monthly income lakho me hoti hai. Kisi bhi field me jab tk hum perfect nahi bante tab tk lakho ki to door hajro ki bhi nahi soch skte. Kyon lakho me vahi kamate hai jinme hoonar hai or wo hoonar aap is site ke dwara sikh rahe hai. To chaliye shuru krte hai. PCB per photo diode ki pahchan kaise kare.
Identification:
Yah mobile phone ke pcb per kuch section me laga mil jata hai. Yah black colour ka hota hai. Yah charging diode ki tarah lamba nahi hota hai. Yah aaytakar hota hai. PCB per iski pahchan krna aasan hai. Yah pcb per ek hi laga hota hai.
Works:
Yah infrared rays ko capture krne ka karya krta hai. Infrared ke liye yah use me liya jata hai.Faults:
Photo diode ke faulty ho jane per infrared rays capture nahi hogi.Practice:
Mobile phone ki PCB per Kisi aaytakar black colour ke parts ki khoj kare. Jo dikhne me diode jaisa lage.
Note: Yah all types ke handset me nahi lagta hai. Agar aapke phone ki pcb per na mile to udas na ho.
Kya Aap Jante Hai ?
Light Emitting Diode (LED) ka use Keypad or Display me light jalne ke liye kiya jata hai. Yah white, green, yellow, or blue colour ka hota hai.
Mobile phone repairing course in Hindi me aap online mobile repair training course sikh rahe hai. Abhi aap small parts on mobile cell phone pcb – identification, works or faults ke lessons sikh rahe hai.
स्मार्टफोन रिपेयरिंग के सभी तकनीकी कौशल सीखें, एक ही कोर्स में