PCB Introducation & Identification
Charging Diode Identification in Hindi
Charging Diode: Identification, Works or Faults
Full mobile phone repairing course free online me aaj ke lesson me aap sikhenge ki mobile ki Printed Circuit Board (Motherboard) per Charging Diode ki identify kaise kare. PCB per charging diode ki pahchan kaise kare, iske karya or khrabiya kya hai. Mobile repair krte time aapko mobile pcb per all parts ki pahchan hona jaroori hai. Kisi bhi mobile cell phone ya smartphone ki PCB ko jaane bina aap uski hardware faults ko solve (Thik) nahi kr skte hai. Mobile circuit board per bahut types ki hardware problems aati hai. Jiske solution ke liye aapko pcb per pratyek small, big ya card level parts ki pahchan hona aawshyak hai. Abhi aap small parts ki pcb per pahchan krna sikh rahe hai. Abhi aap diodes ek type – charging diodes ke baare me sikhenge, to chaliye shuru krte hai.
Identification:
Mobile phone ki pcb per yah charging section me laga hota hai. Iski pahchan krna bahut hi aasan hai. Yah black colour ka hota hai. Jiske ek taraf ki leg lambi hoti hai. Dusri taraf ki leg chhoti hoti hai. Jis taraf ki leg chhoti hoti hai wo positive (+) point hota hai.Isliye ise pcb se remove krte time yah dhyan rakhe ki positive point kis or laga hai. Adhiktar handsets me yah charging connector ke aas-paas laga rahta hai. Charging diode ki current voltage capacity fix hoti hai jaise 4V, 6V etc.
Works:
Charging diode apni capacity se adhik current aage nahi supply krta hai. Yah 4V ka hai to aage 4V hi current supply karega. 6V hai to 6V supply dega. Yah current ko apni capacity ke anusar aage filter krta hai. Mobile phone ka charger 7-8 volt current supply krta hai. Charging diode current supply ko kam krke aage supply krta hai. Jisse IC, Small Parts damage na hote hai. Yah current or voltage ko control krta hai.Faults:
Yah khrab ho jata hai mobile phone me yah faults aati hai –
(A) Charging diode ke faulty ho jane per mobile phone ki battery charge hona band ho jayegi.
(B) Iske kharab hone battery charging related others problems aati hai.
Practice:
Aap ek mobile circuit board (PCB) le or us per ek gahre black colour ke parts ko khoje jo do legs ka hai, jiski ek taraf ki leg lambi or dusri taraf ki leg chhoti hoti hai.
Kya Aap Jante Hai ?
Diodes 4 types ke hote hai –
1. Photo Diode
2. Charging Diode (Zener Diode)
3. Rectifier Diode
4. Light Emitting Diode (LED)
Mobile repairing course hindi me next lessons ke liye ready rahe, new lessons jald hi website per publish honge. Sikhte rahiye mobile repair course, zara smile ke sath. Kyonki mobile cell phone repair me bahut jobs or scopes hai. Aapke hoonar ko koi chhupa nahi skta.
स्मार्टफोन रिपेयरिंग के सभी तकनीकी कौशल सीखें, एक ही कोर्स में