How to Use Digital Multimeter in Mobile Phone Repairing ! Hindi Me
Mobile repairing me all small parts, jumper track ways, card level parts, charging volt, battery volt, pcb shorting etc. ke liye Multimeter ka use kiya jata hai. Multimeter se small parts ki pcb circuit board par aasni se identification ki ja skti hai. Cell phone repair course me aaj ke lesson me aap sikhenge mobile phone repairing me digital multimeter ka use kaise kiya jata hai.  


Multimeter ko kaise upyog kiya jata hai or isse small parts ko kaise check krte hai. PCB par pratyek parts me aapse me connection ko iske dwara check kiya jata hai. Mobile phone ki hardware faults or problems ko solve fix repair solution sudhar krne me multimeter se parts ko check krke fault ko khoja jata hai.  
to chaliye shuru krte hai ki phone repair me multimeter ka use kaise kare Hindi me. Practically khud krke sikhene ke liye agar aapke paas multimeter nahi hai to aap market se ise aaram se ya online buy kar skte hai. Buy multimeter online from Flipkart.

Multimeter Ko Use Krne Ke Aasan 2 Steps –
Step1. Multimeter ke sath red or black colour ki 2 probes aati hai. in dono probes ko multimeter se connect kiya jata hai. dono probes ko is type se se set kare
  • Red Probe ki pin ko V ΩmA (Positive) jack me set kare.
  • Black Probe ki pin ko COM (Negative) jack me set kare.
Niche diye gye picture ko dhyan se dekhe or samajhe

mobile phone repairing me digital multimeter se mobile phone parts kaise check kare.

Step2. Red or Black probes ko set krne ke bad ab multimeter ko start kare. Start krne ke liye charo or ghumne wale Selctor Rotatory Switch ko pakadkar Beep/Speaker or Diode mode par set kare. Upar diye gye picture ko dhyan se dekhe or samajhe. Beep mode par set krne ke bad black or red probes ko aapse me milaye, aapse me milane par multimeter se beep ki sound aati hai. 

Notes: Multimeter ke only beep mode par hi selector switch set krke dono probes ko aapse me touch krne par beep ki sound aati hai.

Ab aap multimeter ko mobile phone repairing me parts check krne ke liye use kar skte hai. Multimeter se parts ko check krke pata kiya jata hai ki parts OK hai ya faulty. Mobile phone repair me next lessons me aap sikhenge ki pcb par lage all small parts ko multimeter se kaise check kare.

हाउ टु डाउनलोड