Big Parts IC Identification
Charging IC - Identify on Mobile Phone PCB Circuit Board Diagram | Charging IC Works and Faults in Hindi
Charging IC: Mobile Phone PCB Par Identification Works Faults Hindi Me
Aap sikh rahe hai MobiTechCareer - mobile phone repairing course online in Hindi. Aaj ke lesson me aap sikhenge pcb par charging ic ki pcb circuit board par kaise identify kare. Mobile phone pcb circuit board (PCB) identification ko samajhne ke liye humne pcb par solder parts ko 3 types me divide kiya – 1. Card level parts, 2. small parts or 3.big parts or IC.
Abhi hum big parts ki pcb par identification (pahchan), karya or khrabiya sikh rahe hai. PCB par sabhi parts ke apne-apne alag sections bane hote hai. Fir bhi pcb ke two main section hote hai – 1. network section or 2. power section. Charging ic mobile phone ke power section ke charging section me lagi rahti hai. Kya aap pcb par charging ic ki pahchan kar skte hai, is lesson ko sikhne ke bad aap easily charging ic ki pcb par identify kar skte hai. to chaliye shuru krte hai.
Identification:
Mobile phone ke power section me lagti hai. yah light ic ke size ki hoti hai lekin keypad ic se small hoti hai. Adhiktar mobile sets me yah charging connector ke sabse najdik or aas-paas hi lagi rahti hai.
Works: Mobile phone ke charger se current lekar battery ko charging krne ke karya krti hai. Battery charging krne ke karya ko control krti hai.
Works: Mobile phone ke charger se current lekar battery ko charging krne ke karya krti hai. Battery charging krne ke karya ko control krti hai.
Faults: Charging ic ke khrab hone par ye fault aati hai –
1. Cell phone battery not charging.
2. Charging ic ke short hone par phone dead hona.
Mobile phone repair course online in Hindi me big parts or IC ki PCB par identification krna bahut hi aasan hai. Aap kitna sikh rahe hai iske liye time par time par apna test lete rahe. aapko khud practice krke sikhna hai. Mobile repairing course Hindi ko continue sikhte rahiye.
स्मार्टफोन रिपेयरिंग के सभी तकनीकी कौशल सीखें, एक ही कोर्स में