Boost Coil – Identifiion, Works or Faults in Hindi

Free Mobile Phone Repairing Course Online in Hindi me aaj ke lesson me aap sikhenge: - Boost coil ki PCB per pahchan krna, Karya or Kharabiya. Mobile Phone Ki PCB per yah coil kuch section me lagi hoti hai. Basically yah light ke liye lagai jati hai. Yah display section me lagi mil hati hai. Mobile cell phone motherboard per yah 1 ya 2 hi lagi hoti hai. Yah battery connector ke V.bat (+ point ) se direct connect hoti hai. Chaliye shuru krte hai – PCB per boost coil ki identify krna

Identification:

Yah coil se bahut badi hoti hai or iski shape or size coil se ekdum different hoti hai. Yah PCB per ek button ki tarah dikhai deti hai. yah black colour ka hota hai. Iske kharab ya damage ho jane per ise change krke lagaya jata hai. Ise jumper krke bhi thik kiya ja skta hai

mobile phone repair me pcb circuit board motherboard per small parts - boost coil ki pahchan kaise kare | karya or khrabiya

Works: 

Yah current ko increase krne ke karya krti hai. Iske dwara display screen ki light ko current milta hai

Faults: 

Boost coil ke damage hone per ya isme kharabi aane per display me light nahi jalegi.

Practice:

Ek mobile phone ki printed circuit board le or us per boost coil ki pahchan kare.

Kya Aap Jante Hai ?

Coil or Boost Coil dono me cooper wire laga hota hai jisse current ko decrease or increase kiya jata hai.

Mobile Repairing Course Hindi me Sikhna aage or bhi aasan hota jayega, jab aap in parts ki identification ek or tarike se krna sikh jayenge. Mobile phone ki pcb per small parts me aapne last lessons me Capacitor or coil ke bare me sikha. Unki pcb per pahchan, work or fault etc. ke baare me jaana. Small Parts se related all lessons sikhe. Taki aage sikhne me koi confuse na ho. 

हाउ टु डाउनलोड