Big Parts IC Identification
Antenna Switch Identificaton Works Faults in Hindi
Antenna Switch: Identification, Works and Faults in Hindi
Mobile phone repairing me aaj ke lesson me aap sikhenge ki cell phone, iphone, android smarphone ke pcb circuit board per antenna switch ki identification kaise kare. Mobile phone ke big parts ko two section me divide kr skte hai jinke naam hai: Network Section ke big parts or Power Section ke big parts. Network section hamesha mobile phone ke pcb board per sabse upper hota hai. But kahin mobile phone set me network section side me, upper-niche bhi so skta hai. Mobile phone PCB Diagram ko samajhane ke bad parts ki peb per identification (pehchan) krna or bhi aasan ho jata hai. To aaiye aaj ke mobile phone repairing turorial in hindi me pcb per big parts or IC me Antenna Switch ki pahchan krna sikte hai, mobile phone me iske kya karya or iske kharab hone per phone me kya faults hoti hai.
Antenna Switch:
Identification
Antenna switch mobile phone pcb circuit board per network section me pfo ke pas laga rahta hai. Yah aayat ke aakaar ka hota hai or metal, non metal ka bana hota hai. GSM sets me white color or CDMA mobile phone sets me gold metal ka bana hota hai. Antenna switch pfo se bahut chhota hota hai.
Antenna Switch Works
Yah network signal ko search krta hai or tuning krne ke bad aage bhejta hai.
Antenna Switch Faults
Iske faulty (Kharab) hone per mobile phone me network nahi aayega or set me network related other problems aane lagti hai.
Aasan Hai
mobile phone repair krna aapke liye right hand ka khel hai. Yah bhi hona aasan hai. Aap mobile phone ki pcb circuit board per all a to z parts ki identification krna sikh lo. Uske bad aap pcb ko aasni se samajh skte hai. Fir aap kisi bhi hardware fault ko easily find krke solve krne ke yogya ho jaoge.
स्मार्टफोन रिपेयरिंग के सभी तकनीकी कौशल सीखें, एक ही कोर्स में